RoseSMS.com

Aankhain Khuwab Dekhti Hain


Latest "/Text Messages" Rose SMS RoseSMS.com Rose SMS


Aankhain Khuwab Dekhti Hain

Aankhain khuab dekhti hain
Kisi say mil janey ka
Ya khud ko kho denay ka
Tanha reh janay ka
Khud ko aar denay ka,
Chahat haar denay ka

Aankhain khuab dekhti hain

Bichray huye lamhon ka
Kisi raastay per mil janay ka
Zakhmon kay sil janey ka
Zamanay kay guzer janay ka
Khuab kay hasil ki haqeeqat ka
Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka
Bikhray khuabon ki takmeel ka
Tum to khud ik khuwab ho
Husn ka, jawani ka
Ik dard bhari kahani ka!!

posted in Ghazal SMS | 0 Comments

Koi mousam bhi hum ko raas nahin

Koi mousam bhi hum ko raas nahin
woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin

aik muddat say dil k paas hay woh
aik muddat say dil udas nahin

jub say daikha hay shaam aankhon mein
tub say meray qayaim hawas nahin

meray lehjay mein us ki khushbo hay
us ki baaton mein meri baas nahin

Jitna Shaffaf hay tera aanchal
Utna ujla mera libaas nahin

samnay meray aik darya hay
hont sokhay hain phir bhi pyas nahin

jis ko chaha hay dil-o-jan say saqi
janay woh kion nazar shinaas nahin

posted in Ghazal SMS | 0 Comments

Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai

Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon

Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha
Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon

Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai
Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon

Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager
Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon

Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
Teri aankhon mein wohi pyar mein phir se dekhoon

Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon

posted in Ghazal SMS | 0 Comments

Itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana

baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk

ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk

ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qayam rakhna, tum meray mer jaanay tuk

itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,
aa hi gayai tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk

posted in Ghazal SMS | 0 Comments

Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiya

Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiya
Mousam ki tarah badal jaon tujhey is say kiya

Chot khaon ya zakham lagay, ya ahsas-e-ghum mein tarpon
Mein gir jaon ya sanbhal jaon tujhey is say kiya

Mussartaon ko daikh ker bay qarar ho jaon
Ya tofan-e-ghum say behal jaon, tujhey is say kiya

Hansta daikh ker hans paron, rota daikh ker ro paron,
Halat k sanchay mein dhal jaon, tujhey is say kiya

Zararot nahin ab kisi hamsafar ki saaqi,
Janib-e-manzil tanha nikal jaon, tujhey is say kiya

posted in Ghazal SMS | 0 Comments

Merey sabar ka na ley Imtehaan

Merey sabar ka na ley Imtehaan
Meri khaamoshi ko sada na dey
Jo terey baghair na jee sakey
Usey jeeney ki to duaa na dey

Tu azeez Dil-o-nazar sey hai
Tu qareeb Rag-o-jaan sey hai
Merey Jissm-o-jaan ka yeh faisla
Kaheen waqat aur barha na dey

Tujhe bool ke bhi na bulaa sakoon
Tujhe chah ke bhi na pa sakoon
Meri hasraton ko shumaar kar
Meri chahaton ka silaa na dey

Wo tarap jo shula-e-jaan mein thi
Merey tan badan sey lypat gaye
Jo bujha sakey to buja isey
Na bujha sakey to hawa na dey

Tujhe agar milein kabhi fursatein
Meri shaam phir sey sanwaar dey
Agar qatal karna hai to qatal kar
Yoon judayioon ki saza na dey

posted in Ghazal SMS | 0 Comments

Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho

Meri aankhon main raho meri aankhon main raho,
Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.!

Tera wada bhi na siyasi ho,
Ab fazaon mein na udasi ho!
Chuu k qadmon ko her khushi guzray,
Kash ab yun hi zindagi guzray!
Tum meray sath meray din meri raaton main raho,
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho!

Pyaar mera tujh say kahta hay,
Dil ki dharkan mein tu hi rehta hay!
Preet main teri ban k kho jaon,
Meera k jaisi tu bhi hoo jayai!
Ban k radha tum meri murli ki tano main raho,
Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho.!!

Tujhey chaha hay tujhay chahonga,
Mai na chahat say ba’az aaonga,
Teri ulfat k jhulay ain jhulun,
Saath tu day tou aasman chu lun,
Gungunaon main tujhay, dil k taron main raho,
Meri aankhon mein raho, Meri aankhon mein raho

posted in Ghazal SMS | 0 Comments

157 of page159 Prev 1 2 3 4 5 ....154 155 156 157 158 159 Next
  • RosSMS.Com