bas yehi aadat uski mujay achi lagti hai fida
udaas ker k mujay khud b khush nahi rehta
Dil maray mujh say sanbhalnay ka wada ker lay
Samnay bhaytayn hain unsay milnay ka erada ker lay
Koiee baat bhi ais waqat aun say ker lay
Pass anay ka unsay koiee bahana ker lay
Jazbaat per appnay pahaylay zara qaboo ker lay
Aizharay piyar ka thoray sa ahtaymam ker lay
Aankhay jub aussay char hoti hain
Dil ki baatay hazar hoti hain
Piyar may pata chal raha hay abb
Kasay nindhay kharab hoti hain
Zamana kuo dushman banta hay
Kasa sunna baatay azab hoti hain
Samajh may kuch nahi aata Sameer
Aqal ki batay baykar hoti hain
Her hud guzar chuki hay mari tujh say piyar ki
Zindagi mangi hay ager aur, to tujh say piyar ki
Her khoshi hogaiee hay mari wabasta tujh say
Jab say ibtada ki hay may nay, tujh say piyar ki
Taray siwa mujh ko abb kuch aur nazer nahi aata
Intaha dekh li hay sub nay meri, tujh say piyar ki
pyar ki kismat koi na jane,
mar mitne ko taiyar hai diwane,
duniya dekhe tamasha aur
kahe, jal gaye pyar mae parwane.
k koi deewana kahta hai koi pagal samajhta hai,
magar dharti ki be-chaini bas badal samajhta hai,
tu mujhse dur kaisi hai main tujhse dur kaisa hun,
yeh tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai


