You are here: Home >‘Ghazal SMS’ Category

Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte

Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte,
Mere dost! Yun kisi ko satya nahi karte,
Ek baar yun kisi ko keh ker apna,
Daman phir uss se churaya nahi karte,

Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil,
Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte,
Rakhte hon jo dard bhara dil apne seene mein,
Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte,

Do qadam saath chal kar jo judda ho jayen,
Aise logon ko toh humsafar banaya nahi karte,
Kiss tarha guzarti hogi zindagi unn ki,
Pehli mohabbat ko jo dil se bhulaya nahi karte

Tags: ,

Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main

Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main
Woh apna aks chore gayi mere khuwaab main

Ab tak woh mere zehen main uljha sawaal hai
Shaamil rahi jo har ghari mere nisaab main

Aankhon main neend hai na koi khuwaab door tak
Rehte hain hum bhi aaj kal waise azaab main

Milta hai gardishon se gale lag ke chaand bhi
Aaye the simat ke faasle kitne saraab main

Aakhir meri wafa ka mujhe kya sila mila
Likha na aik harf bhi us ne jawaab main

Tags: ,

Tujhko na aain mohabbatain karni

Ye kya kay sab say bayaan dil ki haalatain karni
‘Faraz’ tujhko na aain mohabbatain karni

Ye qurb kya hai kay tu saamnay hai aur hamain
Shumaar abhi se judaai ki sa’atain karni

Koi Khuda ho kay pathar jisay bhi hum chaahain
Tamaam umr usi ki ibaadatain karni

Sab apnay apnay qareenay say muntazir us kay
Kisi ko shukr kisi ko shikaayatain karni

Hum apnay dil se hain majbuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamatain karni

Milain jab un say to mubaham si guftagu karna
Phir apnay aap se sau-sau wazaahatain karni

Ye log kaisay magr dushmani nibhaatain hain
Humiin ko raas na aain mohabbatain karni

Kabhi ‘Faraz’ naye mausamon main ro dena
Kabhi talaash puraani raqaabatain karni

Tags: ,

Badal ki tarah …..

Marti hoi zamee’n ko bachaana parra mujhay…
Baadal ki tarah dasht pay aana parra mujhay…

Woh ker nahee’n raha tha mairi baat ka yaqee’n…
Phir yoo’n hua k mar k dikhhana parra mujhay…

Bhoolay say mairi simt koi daikhhta na tha…
Che’hray pay aik zakhm lagaana parra mujhay…

Us ajnabi say haath milaanay k waastay…
Mehfil may sab say haath milaana parra mujhay…

Yaadai’n thee’n dafan aisi k bad-az-farokht bhi…
Us ghar ki daikh-bhaal ko jaana parra mujhay…

Us bay-wafa ki yaad dilaata tha baar baar…
Kal aainay pay haath uthaana parra mujhay…

Aisay bicharr k us nay to mar jaana tha hasan…
Us ki nazar may khud ko giraana parra mujhay…!!

Tags: ,

wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi

Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hai, Rag-e-Jaan se laakh Qareeb Sahi

Hamain Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahin Sahi
Hamain Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi

Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamain Intizaar Qabool hai
Wo Kabhi miley, wo kahin miley, wo kabhi Sahi, wo kahin Sahi

Na ho Un per jo Mera Bus na sahi, keh yeh Aashqi hai Hawas nahi
Main Unhi ka tha, Main Unhi ka hoon, wo Mere nahi to na Sahi

Jo ho Faisla woh sunaaiye, usey Hashar per na Uthaaiye
Jo karain ge Aap Sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin Sahi

Usey dekhne ki jo Loo lagi, to ‘NASIR’ dekh hi lain ge Hum
Wo Hazaar Aankh se Door ho, wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi!!!!!!

Tags: ,

Ujalay apni yaadon k……

humara DIL saweeray ka sunehra jaam ho jaye
chiraghon ki tarah ankhein jalein aur shaam ho jaye

kabhie tow asmaan se chand utray jaam ho jaye
tumharay naam ki ek khoobsurat shaam ho jaye

ajab halaat thay yun dil ka soda ho geya akhir
mohabbat ki haveeli jis tarah nelaam ho jaye

sumandar k safar mein iss tarah awaz de hum ko
hawayen teez hon aur kashtiyun mein shaam ho jaye

mujhay maloom hai usska thikana phir kahan ho ga
parinda asmaan choonay mein jab nakaam ho jaye

ujalay apni yaadon k humaray sath rehnay do
najanay kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye

Tags: ,

 Page 3 of 38 « 1  2  3  4  5 » ...  Last » 
web page hit counter