You are here: Home >‘Ghazal SMS’ Category

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta

Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai
Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta

Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta

Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta

Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai
Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta

Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi
Ae dil Be’faiz logon se nibah kar kuch nahi milta

Tags: ,

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi

Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi….

Tags: ,

Yah uski bezubaani ka sila hai

Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai,
Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !

WO chehra gam se kumhlane na paye,
Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !

Tabassum hai labon pe dil me nafarat,
Yahi iss daur ka nakse wafa hai !

Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai,
Nahin maloom he kaisi saza hai !

Zamana chup hai aur bole hai “Zakhmi”,
Yah uski bezubaani ka sila hai !!

Tags: ,

Har ek lamha naya ik imtehan hai

Har ek lamha naya ik imtehan hai,
bohut na-meharban yeh aasman hai,

Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,

main us say baat karna chahti hon,
batao to sahi woh ab kahan hai,

Anaa ki rait shamil ho gayai hai,
Hawa say guftugu ab raigan hai,

Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha,
Meri janib say itna badguman hai…

Tags: ,

Jo guzar gia woh guzar gia

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,

Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,

Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,

Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia,

Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker,
Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,

Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia

Tags: ,

Jo na mil saka wo baywafa

Jo na mil saka wo baywafa
yeh bare ajeeb si baat hai

jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai…

Wo roshni kay khayal main
wo na asaka raah mian muntazir

yeh khalish kahan thi visaal main
mere justojoo ko khabar nahi

na wo din rahay na wo raat rahay
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai..
Kary pyar lab pay koi gila na hoo

yeh kissi kissi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahi

wo juda bhi rehkay qareeb hai
wo aankh hai mere ru baru

ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai
mera nam tak jo na lay saka

jo mujhay qarar na day saka
jissay ikhtiyaar tau tha magar

mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs mere talassh hai

wohi dard mere hayaat hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak meray saath ha

Tags: ,

 Page 31 of 38  « First  ... « 29  30  31  32  33 » ...  Last » 
web page hit counter