You are here: Home >‘Poetry SMS’ Category

Dhoop ho chaon ho tum sath nibhaya karna

Dhoop ho chaon ho tum sath nibhaya karna
Mere chehre pe sada palkon ka saya karna

Subha shaam main dekhun ga tumhari raahein
Kabhi jaldi to kabhi dair se aaya karna

Daant lena sar-e-mehfil koi baat nahi
Magar tanhai mein phir mujh ko manaya karna

Jaan jaoon ga main khushboo se tumhari tumko
Tum peechey se meri ankhon ko chupaya karna

Jaagna chaho to shab bhar baatein karna
Neend aa jaye to seeney pe sulaya karna

Meri Moat…

(Meri MOUT)
Meri Mayat pr Kafan na dalo
Muje aadat ha Muskurane ki,
Mere Janaze ko na le jao
Umeed ha mere dost k ane ki,
Dair hojaye tu kuch na kehna
Usay adat ha mujhe Satane ki,
Agr ho Naraz tu Ay yaro!
Koshish krna usay Manane ki,
Jab dekh kr chala jaye meri Mayat,
Phir tayari krna mujhe jaldi Dafnane ki,
q k,
agr woh palat aya aur muje dekh kr roo para,
to meri sansaen wapis na aa jaen qk meri adat hy usy chup karane ki …!

Mujhay Wo Pyaar Karta Tha

Meri Aankhon Pay Marta Tha
Meri Baaton Pay Hansta Tha

Na Janay Larka Tha Kaisa
Mujhay Khonay Say Darta Tha

Mujh Say Jab Bhi Wo Milta Tha
Yahi Har Baar Kehta Tha

Suno…

Ager Main Bhool Jao Tu
Ager Main Bhool Jao Tu

Kabhi Wapis Na Aao Tu
Bhola Pao Gaye Ye Sab Kuch

Yon Hi Hanstay Raho Gaye Kia
Yon Hi Sajtay Raho Gaye Kia

Yahi Baatain Hain Ab Us Ki
Yahi Yaadain Hain Ab Us Ki

Mujhay Bas YAAD Hay Itna

Mujhay Wo Pyaar Karta Tha
Mujhay Khonay Say Darta Tha…♥

Tags: , , , , , , , , , , , ,

Jis ko tum chaaho wo Mohabbat!!

Jis Ko Tum Chaaho Wo Mohabbat !!

Jo Tumhein Chaahe Us Ka Kya? ? ? !!

Jis K Liye Tum Roye Wo Mohabbat … !!

Jo Tumare Liye Roye Uska KYA? ? !!

Jis K Liye Tum Tadpe Wo Mohabbat !!

J0 Tumhare Liye Tadpa Uska Kya? ? ? !!

Jis Ko Tumne Chaaha Wo Tumko Mile !!

Aur Jis Ko Tum Na Mile Uska Kya… :’(

Jo Guzar Gya So Guzar Gya

Wo Udaas Dhoop Samait Kr,

Kahin Wadiyon Me Chal Diya,

Ae Mere Dil Tu Na De Sada,

Jo Guzar Gya So Guzar Gya,

Ye Safar Kitna Taveel Hai,

Yahan Waqt Kitna Qaleel Hai,

Kahan Lot Ker Koi Ayega,

Jo Guzar Gya So Guzar Gya,

Wo Wafaen Thi Ya Jafaen Thi,

Ye Na Soch Kis Ki Khataen Thi,

Jo Tera Hai Us Ko Gale Laga,

Jo Guzar Gya So Guzar Gya,

Ye Dunia Ek Fareb Hai,

Yahan Koi Kisi Ka Apna Nahi,

Ye Ujray Mehlon Ki Sun Sada,

Jo Guzar Gya So Guzar Gya.

Aj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya

Aj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
… aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya?

 Page 1 of 125  1  2  3  4  5 » ...  Last » 
web page hit counter