Tum Dil Se Yun Pukara Na Karo,
Humko Yun Ishara Na Karo,
Dur Hai Tumse Ye Majburi Hai Hamari,
Tum Tanhaiyon Mein Yu Rulaya Na Karo.
Tum Dil Se Yun Pukara Na Karo,
Humko Yun Ishara Na Karo,
Dur Hai Tumse Ye Majburi Hai Hamari,
Tum Tanhaiyon Mein Yu Rulaya Na Karo.
Bheeg jaati hain meri palkein jab tanhai main
Dar lagta hai, koi wajah jaan na le.
Dar to yun bhi lagta hai k koi meri
Aankhon me tumhe dekh k pehchaan na le.
Teri qurbat mili ..Magar tera sahara na milaa..
Qareeb pohunch kar bhi sahil ka kinara na mila..
Dekhta raha ghoor se main hatheli apniii
Magar mujhay apni qismat ka sitara na mila…
Nigahain mila kar kiya dil ko zakhmi,
Ada’ain dikha kar sitam dhaa rahi ho,
Wafaaon ka khoob sila diya,
Ab tadapta hua chor kar jaa rahi ho.
Badi koshish k bad use bhula diya,
uski yadon ko seenay say mita diya.
1 din phir uska paigham aya,
likha tha mujhey bhul jao,
aur mujhe bhula hua…
har lamha yad dila diya.
Sharabi ilzam sharab ko deta hai,
aashiq ilzam shabab ko deta hai.
Koi nahi karta qabul apni bhul,
kanta bhi ilzam gulab ko deta hai