Dil ka dard dil torrne waley kiya jaaney,
Pyar ke rivajon ko zamana kiya jaaney,
Hoti hai kitni takleef larrki ko pataney main,
Ye ghar pe baitha larki ka baap kiya jaaney
Dil ka dard dil torrne waley kiya jaaney,
Pyar ke rivajon ko zamana kiya jaaney,
Hoti hai kitni takleef larrki ko pataney main,
Ye ghar pe baitha larki ka baap kiya jaaney
Tujh bin zindagi ka tasawar hi nahi hai ,
Tere sang ho zindagi aisa bhi koi scene nahi hai,
Iss dunya mein, tum he sab say haseen ho
mein aur kahon jhot kitna, ke tum ko yaqeen ho
Jis waqt khuda ne tumhain banaya hoga,
ek saroor sa uske dil pe chaya hoga…
pehle socha hoga tujhe jannat mein rakh lun..
phir ussay zoo ka khayal aaya hoga
Jab barish hoti hai, Tum yaad aate ho.
Jab kali ghata chaye, Tum yaad ate ho,
Jab bheegte hain tum yaad aate ho,
Bataoo Meri umbrella Kab wapis kro ge!
Log ishq kartay hain baray shor kay sath,
Humne bhi kia bare zor kay sath,
Lakin ab karain gay thoray ghor kay sath,
Kyunke kal usay dekha kisi aur kay sath.