Iqbal tery dees ka kya haal sunnaun

Iqbal tery dees ka kya haal sunnaun,
Bebaqi_o_haq goi sy gabrata hai momin,

Makkari_o_robahi py itrata hai momin,
Jis rizq sy parwaz main kotahi ka dar ho,

Woh rizq bary shoq se khata hai momin,
Kirdar ka, guftar ka, aamal ka momin,

Qaail nhi aisy kisi janjal ka momin,
Sarhad ka hai momin koi punjab ka momin,

Dhondy sy b milta nhi Quran ka momin,
Iqbal tery des ka kya hall sunaun.!

Tags: ,

KOI KIYA JANAY

Mosam-e-hijr k lamhat koi kiya janay,
Kya guzarti hai meray sath ko kiya janay,

Doriyon me bhi tere sath marasim hen woi,
Roz hoti hai mulaqat koi kiya janay,

Log hansti hui ankhon pe yaqeen rakhtay hain,
Mere ansuu mere jazbat koi kiya janay,

Ek tu hai jisay malum hen sari batain,
Shab-e-hijran mere halat koi kiya janay,

Koi kiya janay k khamoshiyan kia kehti hain,
Aay �Dhani� teri ankhon k sawalat koi kiya janay

Tags: ,

Mohabbat Baraye Naam

Baray-e-naam sahi koi meharbaan to he,
Hamare sar pe Bhi hone ko Aasamaan to he

Teri faraakhdili ko duaen deta hun,
Mere labon pe tere lams ka nishaan to he

Ye aur bat k vo ab yahan nahi rahta,
Magr ye us ka basaya hua makaan to he

Alavaa is k na kuch aur parda rakh mujhse
Fasiil-e-jism mere tere darmiyan to he

Bichar k zinda nahi rah sakenge ham 2no,
Mujhe ye vaham to hai un ko ye gumaan to he

Saron pe saya_figan abr-e-Aarzu na sahi,
Hamare pas saraabon ka sayabaan to he

Tags: ,

Waqt apna mujhy sara day do

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ki kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do….!

Tags: ,

Anmol na thay..!

ankhon me jo tehreerain theen!
honto pay vo bol na thay…

Hum thay us k pyar k aashiq!
Bas hathon mein kashkol na thay…

Hum ne us ko toot k chaha!
ye us ka haq tha lakin…

Wo b hum ko toot k chahey!
Hum itnay “ANMOL” na thay….

Tags: ,

Meri Laghzishen na Chuna karo Meri Ghaltiyan na Gina Karo, Ye Qadam Qadam ki Hudood kya Mere sath sath chala karo, main khulay mizaj ka shakhs hoon main takallufat se Marwa, ye jo Mehrbani ka lafz hai, ise tum na mujh se kaha karo, Kahin tum na ho jao besakun koi Bad’dua na tumhain lage ye jo khoye khoye se log hain inhe dekh kar na hasa karo ye dua hai Rab-e-Rahim se Teri Tazgi ko khizan na ho ye bahar tujh se jala kare sada muskurate raha karo Sada muskurate raha karo….

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye

Tags: ,

 Page 240 of 334  « First  ... « 238  239  240  241  242 » ...  Last » 
web page hit counter